Thursday, 4 July 2013

Ik Shakhs Ko Chaha Tha Apno Ki Tarah Hum Nay

Ik Shakhs Ko Chaha Tha Apno Ki Tarah Hum Nay
Ik Shakhs Ko Rakha Tha Taron Ki Tarah Hum Nay

Wo Shakhs Qayamat Tha Kya Baat Karu Us Ki
Ik Shakhs Ko Mana Tha Khushboo Ki Tarah Hum Nay

Din Us K Liye Payda The, Thi Us K Liye Ratein
Kab Milta Tha Wo Kisi Se Wo Bus Hum Hi Theen Mulakatein

Ik Din Wo Shakhs Hum Ko Apno Ki Tarah Bhoola
Phoolon Ki Tarah Bikhra Taron Ki Tarah Toota

Phir Tum Kyoun Yun Chonkey Ho?
Kab Zikar Tumhara Hai?

Kab Tum Se Khawahish Hai?
Kab Tum Se Umeedein Hai?

Kab Tum Se Tamanna Hai?
Kab Tum Se Taqaza Hai?

Ik Taaza Haqayat Hai Sun Lo To Inayat Hai
Ik Shakhs Ko Chaha Tha...!

ღ♥♣▬ Main Aur Meri Tanhai ▬♣♥ღ
http://www.facebook.com/urdupoetrytanhai

No comments:

Post a Comment

Flag Counter

Flag Counter

Social Icons

 

Sample text

Sample Text