Thursday 20 December 2012

Hamesha Sath Rehne Ki Aadat Kuch Nahi Hoti,...

Hamesha Sath Rehne Ki Aadat Kuch Nahi Hoti
Jo Lamhe Mil Gaye Hain Jee Lo Riyazat Kuch Nahi Hoti

Jisey Mehroomiyan Mili Hon Wohi Jaan Sakta Hai
Zubani Hosla, Jhooti Muravat Kuch Nahi Hoti

Kai Rishton Ko Jab Parkha, Nateeja Aik He Nikla
Zarorat He Sab Kuch Hai, Mohabbat Kuch Nahi Hoti

Kisi Ne Choor Kar Jana Ho To Phir Choor He Jata Hai
Bicherna Ho To Sadiyon Ki Rafaqat Kuch Nahi Hoti

Taaluq Toot Jaye To Safeene Doob Jaate Hain
Yeh Sab Kehne Ki Baatein Hain, Haqeeqat Kuch Nahi Hoti

ღ♥♣▬ Main Aur Meri Tanhai ▬♣♥ღ
http://www.facebook.com/urdupoetrytanhai

No comments:

Post a Comment

Flag Counter

Flag Counter

Social Icons

 

Sample text

Sample Text