Monday, 4 February 2013

Yeh Saal Bhi Aakhir Beet Gaya,...

Yeh Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Koi Haar Gaya, Koi Jeet Gaya

Yeh Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Kabhi Sapney Sajaye Aankhon Mein

Kabhi Beet Gaye Pal Baaton Mein
Kuch Talkh Se Lamhaat Bhi The

Kuch Haadsey Or Sadmaat Bhi The
Kuch Be-Rukhi, Kuch Be-Chaini

Kuch Man Pay Simti Veerani
Kuch Lamhey The Yaadgar Bohat

Kuch Lamhon Ko Barbaad Kia
Par Ab Ke Baras Aye Dost Mere

Mujhey Rab Se Dua Yeh Mangney Do
Koi Pal Na Tera Udaas Guzrey

Koi Rog Na Tujhey Raas Guzrey
Koi Tu Phoolon Ki Tarhan Khila Karey

Koi Shakhs Na Tujh Se Gila Karey
Tu Khush Rahey, Aabaad Rahey

Tu Jo Chaahey Wo Mil Jaye
Teri Maaf Wo Har Ek Khata Karey

Tujhey Aisey Hi Rab Aata Karey
Yeh Saal Bhi Aakhir Beet Gaya...!!!

ღ♥♣▬ Main Aur Meri Tanhai ▬♣♥ღ
http://www.facebook.com/urdupoetrytanhai

No comments:

Post a Comment

Flag Counter

Flag Counter

Social Icons

 

Sample text

Sample Text