Tuesday, 5 February 2013

Yeh Kaisi Tanhaayi Hai,...

Yeh Kaisi Tanhaayi Hai,
Aas Paas Na Koi Saaya Hai Na Parchhayi Hai,
Itna Hai Zindagi Mein Sannatta,

Yeh Kaisi Khaamoshi Ne Hai Mujhe Kaata,
Na Koi Aarzoo Na Dil Mein Koi Tammana,
Kya Yeh Akelay-Pan Hi Hai Mere Jeevan Ki Kitaab K Aakhiri Panna…

Yeh Kaisi Maayusi Hai Chhayi,
Aas Paas Na Koi Saaya Hai Na Parchhayi,
Khawaabo K Parinde Udne Se Pehle Hi Darr Gaye,
Kya Mere Khwaab Saans Lene Se Phle Hi Mar Gye…
Na Dil Mein Koi Umeed Hai Na Koi Aasha,
Lagta Hai Kabhi Zindagi Mein Kya Hai Maine Taraasha…

Yeh Kaisi Bebasi Hai Chhayi,
Aas Pass Na Koi Saaya Hai Na Parchhayi,
Hoth Bhi Sil Gaye Hai Mere Chupi Saadh Kar,
Kya Yuhi Jeena Hai Muje Khud Se Haar Kar…
Kaid Ho Is Tanhaayi Main Najaane Kab Se,
Din Geen-ne Chhod Diye Hain Maine Ab Se,

Yeh Kaisi Hai Tanhaayi Chhayi,
Aas Pass Na Koi Saaya Hai Na Parchhayi…!

ღ♥♣▬ Main Aur Meri Tanhai ▬♣♥ღ
http://www.facebook.com/urdupoetrytanhai

No comments:

Post a Comment

Flag Counter

Flag Counter

Social Icons

 

Sample text

Sample Text